Shane gousul azam shahe jeelan

                   Silsila e iftekhari
Yaa gousul azam

Ya ghaus ul azam aapke dar laga hoon main
kuch gham nahi hai mujhko agar naarasa hoon main

beheela bewaseela hoon betaab o natawaan
imdaad tum karoge meri jaanta hoon main

ghaus ul azam shah e jeelan
majhdaar mein nayiya hai
sadka maula ali aao
meri laaj nibha jaao

tu lajpaal te main laj teri
lagiyaan di lajj paalin ve meera

main neevan mera meera uncha
uncheyan de sang laayi
sadke jaan ehna uncheyan ton
jehna neeveyan naal nibhaayi

barbaad mujhe karde
toofan ka iraada hai
kashti meri dubone ko
har mauj amaada hai

majboor bahut hoon main
aise mein tum aa jaao
sadka maula ali aao
meri laaj nibha jaao

main bhi reham ke kaabil hoon
dukh dard ka maara hoon
fariyaad suno imdaad karo
aakhir main tumhaara hoon

karo nazar e karam meera
mere kaam bana jaao
sadka maula ali aao
meri laaj nibha jaao

duniya mein bata dijo
aur kaun hamaara hai
ab raah e khuda sunn lijo sada
maine tumko pukaara hai

hasnain ke jaani ho
meri bigdi bana jaao
sadka maula ali aao
meri laaj nibha jaao

khaaki pe shah e jeelan
rehmat ki nazar kar do
saans rukne laga aaya waqt e niza
meera ko khabar kar do

bakhshish meri ho jaaye8
soorat to dikha jaao
sadka maula ali aao
meri laaj nibha jaao

Yaa gousal azam 

👉Karu wasf kya aap ka gouse aazam
👉fida aap pr hain khuda gouse aazam

👉pata jiska milta nahi do zahaan  mein
👉are tmhi to ho uska pata gouse aazam

👉kaha jaawoon ab chord kr dar tumhara
👉ke mein hoon tmhara gada gouse aazam

👉tasawoor mein jab se hai soorat tmhari
👉hizaabe dui uth gaya gouse aazam

👉tumhi ho sarapa jamale muhammed
👉are tumhi kamaale khuda gouse aazam

👉tumhi mazhare jaate haq ho bilasak
👉are tumhi se milega khuda gouse aazam

👉gada aap ke dar ka tha jo wahi ab
👉hai sultaan konain ka gouse aazam

👉sabhon ki nazar mein sabho ke dilo mein
👉are tumhi bn gaye ho zia gouse aazam

👉zamaal aapka q na bechain  dekhe
👉ye hai aaina aap ka gouse aazam
       
             ❤❤❤yaabismil❤❤❤

Comments

Popular posts from this blog

Kalam e bismil

Paigam e bismil

Paigam e bismil